![]() |
|
|||||||
Register Now for FREE!
|
![]() |
|
|
LinkBack | Thread Tools | Display Modes | Translate |
|
|
#1 (permalink) |
|
Administrator
Join Date: Dec 2010
Posts: 138
Casino cash: $1205
My Mood:
Rep Power: 10
![]()
Zodiac:
Country:
|
aaNkhoN kaa rang, baat kaa lahjaa badal gayaa vo shaKhs ek shaam meN kitnaa badal gayaa ! kuch din to meraa aks rahaa aaiine pe naqsh phir yuN hu’aa ke Khud meraa chehraa badal gayaa jab apne apne haal pe ham tum na rah sake to kyaa hu’aa jo hamse zamaanaa badal gayaa qadmoN tale jo ret bichii thii vo chal paRii us ne chuRaayaa haath to sehraa badal gayaa ko’ii bhii chiiz apnii jagah par nahiiN rahii jaate hi ek shaKhs ke, kyaa kyaa badal gayaa ! ek sar-khushii kii mauj ne kaisaa kiyaa kamaal vo be-niyaaz, saare kaa saaraa badal gayaa uThTh kar chalaa gayaa ko’ii vaqfe ke darmiyaaN pardaa uThThaa to saaraa tamaashaa badal gayaa hairat se saare lafz use dekhte rahe baatoN meN apnii baat ko kaisaa badal gayaa kahne ko ek seh’n meN diivaar hii banii ghar kii fizaa, makaaN kaa naqshaa badal gayaa shaayed vafaa ke khel se uktaa gayaa thaa vo manzil ke paas aa ke jo rastaa badal gayaa qaayem kisii bhii haal pe duniyaa nahiiN rahii taa’biir kho gayii, kabhii sapnaa badal gayaa manzar kaa rang asl meN saayaa thaa rang kaa jis ne use jidhar se bhii dekhaa badal gayaa andar ke mausamoN kii Khabar us kii ho gayii us nau-bahaar-e-naaz kaa chehraa badal gayaa aaNkhoN meN jitne ashq the jugnuu se ban gaye vo muskuraayaa aur merii duniyaa badal gayaa apnii galii meN apnaa hii ghar dhhuNdhtee haiN log “Amjad” ye kaun shah’r kaa naqshaa badal gayaa
__________________
![]() Meri Tarha Hai Koi Jo Apni Zindagi, Tumhari Yaad Ke Naam Intisab Kr De. ![]() |
|
|
|
|
| Dmegs Directory Sumit for Ranking
Search Engine Optimization - AddMe
|
Indemnity, Disclaimer & Disclosure Notice:
• By visiting GupShupCommunity.com you indicate your acceptance of our Forum Rules Disclaimer & Disclosure and indemnify GupShupCommunity.com, its associates and related parties of all claims howsoever resulting from the usage of the forum.
• All names or products mentioned are trademarks or registered trademarks of their respective owners.