Merhabaa –sud- Merhabba Phir Aam-E-Day Ramzaan Hai
Hum GunahGaron Peh yeah Kitnaa Baraa Ehsaan Hai!
Ya Allah(swt) Tu Nay Aa’ta Phir Ker Diyaa Ramzaan Hai
Tujh Peh Sadqaay Jaoon Ramzaan Azeem-ul-Shaan Hai!
Keh Allah (swt) Ney Tujh Mein He Nazil Kiya Qur’an Hai
Abr-raye-Rehmat Chhaa Gaya hai aur Sa’maan hai Noor Noor
Fazl-e-Rub se Maghfirat ka ho Gaya Saa’maan hai
Her Gharii Rehmat Bharii hai Her Taraf Hein Berkatein
Mah-e-Ramzaan Rehmaton Aur Berkton ki Kaan hai
Aa raha Ramzaan hai Ebaadat per Qamer Aab Bandh lo
Faiz lay lo Jald keh Din 30 kaa Mehmaan Hai
Bhaaio aur Behno ker lo Gunaahon se Sabhi Taubaa
Per Gaye Do’zakh peh Ta’lay Qaid mein Shaitaan hai
Khush Dilli se Sunnah Aapna-tay jao Bhai-o-Behno!
Khuld Kay Darr Khull Gaye hein Raasta Aasaan hai
Masjeedain Aabaad hoon gii Zor-e-Gunaah Kam Hon gey
Mah-e-Ramzaan Kii Berkat kaa Yeah sub Fay’Zaan hai
Do Jahan ki Nay’matein Miltti hein Roza Dar ko
Jo Nahin Rakhtaa Hai Roza Wo Bara Nadaan hai
Ya Elaahi Ho Sakay Tow Madeena Mein Khabi Ramzaan Dikhaa
Muddaton Se Iss Gunahgar Lerki Kaa Yeah Armaan Hai(ameen)
|