View Single Post
Old 08-16-2008, 04:13 PM   #5 (permalink)
DiL_SaY
New Friends




Default


Sis bura lagne wali bilkul bhi baat nahin hai acha hua aapne yeh sab likha

Mene Quran Ki Ayat likhi Thi jisme hai ke Jo Dunia Chala gaya woh ab Qayamat ko hi uthega usse pehle nahin

jo roohe hoti hain woh is dunia main wapas kabhi nahin aati ... agar koee aisa kehta hai ke roohe is din wapas
aati hain to plz usse kaho ke Quran Ahdees se ref do isliye ke Deen Quran Hadees se milta hai kisi buzurg ya
barhe ki baton se nahin.... zaroori nahin jo hum bachpan se karte arahe hain wohi sahee ho jab deen ki sahee
baat malum ho jaye to apni baat ko chor dena chahiye

pehle mere Ghar main bhi yeh sab hota tha Alhamdolillah jab sahee baat pata chali us din se sab kuch band

aapne kaha bachpan se yeh sab dekhte arahe hain ek baat ka jawab do aap Deen Saudi arab se start hua na to phir yahan ke log yeh sab kyon nahin karte? hamare india pak ke logo ko hi yeh sab batein pata chalti hain? aur logo ko
kyon nahin ? jinki zaban arbi hai aur Quran aur Ahdees bhi arbi main hai unhe kyon in bato ka ilm nahin hai?

Agar Murdo ki Eid hoti to Kya Allah ke Rasool SAW sahaba kiram ko bata kar nahin jate? agar yeh Deen ki baat thi to phir Sahaba kiram ne kyon nahin kiya aisa? hamara Deen mukammal hai Alhamdolillah ab isme koee bhi nayee cheez ki jagah nahin ...!!

Dekho aise to us time Makkah ke mushriq bhi Rasool Allah SAW ko bolte the ke tum hamare baap dada ka deen hamse chorne ko keh rahe ho... hum to woh karenge jo hamare barhe karte arahe hain to ALlah ne Quran main is baat ka jawab diya ke inse kaho tumhare baap dada agar jahil rahe hon tab bhi ?

to phir hum kyon aisa karte hain jab Quran Ahdees ki baat samne ajaye to apne barho ki baat ko samne na karein isliye ke deen Quran aur sahee hadees hai ..!!

Allah SWT Apne Nabi SAW se Quran main farma raha hai ke Aiy nabi tum jis murde ko sunana chaho use nahin suna sakte ho ...!! salam ka aapne likha to salam ka matlab kya hai? aur qabrastan ki dua bhi hai usme itna kaha jata hai ke salamti ho aiy qabr walon tum per tum hamse pehle chale gaye hum Insha Anqareeb tumse akar milenge..!! isme unko sunane wali kya baat hai? ALlah se unke liye salamti ki dua ki jati hai koee unse dua nahin mangte..!!

confuse hone wali baat bilkul bhi nahin hai jitna Rasool SAW bata kar gaye hain utna amal karo Insha ALlah Allah Razi ho jayga ..... Khush Rahein

kuch doubt ho to pooch sakti hain
DiL_SaY is offline   Reply With Quote