<div align='center'>ROSE PARI </span>
NO # 01
ab aye meray aehsaa.e. junoon kya mujhy daina?,,
darya mujhy bakhsha hai to sahara usay deana,,,
tum apna makaan jab karo taqseem to yaaroun
girti hoi deewaar ka saaya mujhy deana,,,,,,,,,,,
jab waqt ki murjhaaie hoi shaakh sanbhaloo
us shaakh say toota howa lamha mujhy deana
tum mera badan ourh k phirty raho lekin
mumkin ho to ek din mera cheahra mujhy deana
choo jaaye hawa jesay to khushboo teri aaye
jaaty howay ek aesa zakhm mujhy deana
ek dard ka meala sa laga hai dil.o. jaan main
ek rooh ki awaaz ka rasta mujhy deana
ek taaza ghazal azn,e, sukhan maang rahi hai
tum apna mehakta howa leahja mujhy deana
woh mujh say kahin badh k musibat main tha mohsin
reh reh k magar us ka dilaasa mujhy deana
NO # 02
ujray howay lougoun say guraizaan na howa kar
haalaat ki qabroun k yeh kutbay bhi parha kar
kya jaany q teaz hawa soch main gum hai?
khawaab,e, da parandoun ko darakhtoun say ura kar
is shaks k tum say bhi marasim hain to houn gay
woh jhout na boly ga meray saamny aa kar
ab dastakein day ga to kahan gham.e. aehbaab
main nay to kaha tha k meray dil main raha kar
har waqt ka hansna tujhy barbaad na kar day
tanhaa,e, k lamhoun main kabhi roo bhi liya kar
woh aaj bhi sadyoun ki musaafat pay khara hai
dhoounda tha jisay waqt ki deewaar gira kar</div>
|